Zakir Khan Instagram – Kabhi-kabhi sochta hoon,
Woh sab kuch bata dun tumko,
Jo duniya ke baare me
samajh liya hai maine.
Phir sochta hoon ki kya hi zarurat hai,
Tumhe woh sab janne ki, samajhne ki.
Kyunki…
Hum dono ke hisse ka sab samajh liya hai maine,
Aur kuch tumhe pehle se maloom hai..
Ki jaise chand par ek buddhi aurat rehti hai.
24 Dec ki raat ko, Santa Claus sach me aata hai.
Aur chidiya aur chide ki shaadi ki wajah se hi dhoop me barish hoti hai.
Iske alawa bhi kuch choti choti baatein hain,
par tumhara unse kya wasta.
Waise bhi Pariyan aasman ki khabar rakhti hain,
Zameen ke jhanjhat me nahi padti.
Tum toh yeh batao ki yeh suit kahan se kharida tumne ?
Kabhi-kabhi sochta hoon,
Woh sab kuch bata dun tumko,
Jo duniya ke baare me
samajh liya hai maine. Amsterdam, Netherlands | Posted on 22/Dec/2021 20:56:17



