Karan Johar Instagram – So much josh and jazbaati jawaani,
Pritam ki dhamakedar dhun bhi hai sunani,
Garam Dharam ka swag toh dekho
Bas humari favourite Jaya ji ki tasveer mat kheencho!
Ab unki beshumaar tareef karni hai lazmi,
The one and only Shabana Azmi!
Aur phir Gucci mein lipta Ranveer as Rocky,
Ishq ke ghode pe savaar like an aashiq jockey!
Box office ki maharani humari Alia Rani,
Kya phir banegi dulhania in this kahaani?
In sabka kare aap intezar,
We are coming soon to win your ishq wala pyaar!
#RockyAurRaniKiPremKahani FEB 10th 2023!❤️❤️❤️ | Posted on 24/Apr/2022 12:57:38