Zakir Khan Instagram – Bhookh dekhi hai ,
dekhi hai tiraskaar karti aankhe .
Kadmo se chal-chal kar,
raaston ko naam badalte dekha hai.
Apne tute hua atmsamman ke sahare,
khud ko kaam badalte dekha hai.
Dekhi hai naumeedi,
Apmaan dekha hai.
Na chahte hue bhi maa-Baap ka
jukta swabhimaan dekha hai.
Sapno ko tutte dekha hai ,
apno ko chhutte dekha hai…..
Halaat ki banjaar zameen phaad ke nikla hoon.
Befikr rahiye,
Mai shauhrat ki dhoop se nahi jaluga.
Bas Sath banaye rahiyega,
Abhi toh mai lamba chaluga. The Pointe | Posted on 14/May/2023 10:16:11



