Yasir Hussain Instagram – Such a sad news . Bachpan mai mai inhain Tv dramas mai dekhta tha . Phir yeh achanak tv se gaib ho Gaye . Is calibre k actors ko India mai aaj bhi acha kaam mil raha hai . I don’t really know k nisaar sahab k sath kya hua hoga . But amooman pakistan mai funkaron k sath yehi hota hai .purany adakaar gulukaar k bachy agar mashoor hain toh woh legend hai warna farigh hai . Aas pas nazar doraen yehi nazar ayega . Afsos ki baat yeh hai k mujhy bhi yeh aaj hi yaad aye iss news k sath . Sad reality. Afsos aik Aur acha funkaar chala gaya .
#nisaarqadri #actor #nijaat #angaarwadi #adhidhoop #rip | Posted on 26/Dec/2023 00:13:34



