Nidhi Narwal Instagram – “यूँ तो अकेली भी अक्सर, गिरके संभल सकती हूँ मैं…. तुम जो पकड़ लो हाथ मेरा, दुनिया बदल सकती हूँ मैं” ✨
Doston, kya kahun tumse? Shukriya kahun? Kitna kahun? Kum reh jaega :’)
Bas haan,
Dil bohot khush hai ki humari jantaa aaj 9 Lakh ho gayi hai!
Ummeed bas yehi hai ki main likhti rahun, aap logon ko khush karne ke liye bhi aur zarurat pade toh rulaane ke liye bhi…
Ummeed hai main likhti rahun apne aap ke liye bhi
Ummeed hai main likhti rahun har us jazbaat ke baare mein jo mehsoos sab kar paate hain par keh sab nahin paate
Aap logon ki awaaz ban kar accha lagta hai ❤️
Kum hai par phir bhi shukriyaa!
Saath banaye rakhein
Hum DUNIYA ko na sahi par DUNIYA KE EK HISSE ko zaroor badal denge 🤗
#nidhinarwal #jazbaatijantaa #lifeofnidhi #900k | Posted on 17/Nov/2023 19:31:27



