Nishant Tanwar

Nishant Tanwar Instagram – Bachpan se mummy ne Dada ji ka aur Dadi ji ka shraadh karna sikhaya. Jaldi subah uth kar unke pasand ka khana banana aur phir terrace par ja kar ussey parosna aur phir kauve (crows) ka wait karna. Phir brahman bhoj ka sara bandobast dekhna. Kabhi nahi socha tha ki ek din aise he mujhe mummy ka shraadh karna padega. is saal pehla shraadh tha mummy ka. Yaad to roz he aati hai par aaj ye sab karte hue ek saal baad bhi yakeen karne ka mann nahi kar raha tha. Par ab yahi life hai. Acche burey waqt mein jyada miss karta hoon. Mummy yaar tu jahan bhi hai mujhe dekh kar muskuraate rehna aur mera dhyaan rakhna kyonki mujhse to nahi rakha ja raha. Miss you. Nitu ❤️ | Posted on 03/Oct/2023 21:02:15

Nishant Tanwar
Nishant Tanwar

Check out the latest gallery of Nishant Tanwar