Rabia Butt

Rabia Butt Instagram – Bohat socha saal ki akhri gharian keise guzarun kis kei sath guzarun, kis ko bataun poora saal keisa guzra keise guzra, kaun hai jo khamoshi sei sab suney ga, galation par bhi apna hee hath dua mein uthaye ga, shabashi mein maatha choom lai ga, kaun hai jo na dikh kar bhi sath sath rahe ga, andhairay mein aakar khamoshi sei roshni jala jaye ga, rat ko bina mehsoos karwaye raah deikhay ga, jab thokar lage gi tau apna kalaija abhi bhi thaam lai ga….
Maa tere ilawa kuch samajh nahi aya. Jaan
aap pe qurban walidah’
Meri mohabaat sadaa amar rahe apki surat mein.
Sab ki maon kei liye sab kei bapon kei liye pyaron kei liye dhairon duayein. Dhairon duayein.
Waqt taizi sei beet raha hai, sab badal raha hai, hum mein sei bohat nei bohat sei khoey hein 2023 mein, un sab kei liye hath utha kei duayein, jo bach gaye hein unhay mazbooti sei thaam lein, jo bichar gaye hein, unko ankhein band kar kei mehsoos kar lein. Dil ko saaf kar lein, shabeeh bhi dikhay gi unki. Apne pyaron ko jahan bhi madfoon hein, jatey raha kerein, wahan un sei milne, woh apke muntazir hote hein. Unki ankhein apki rahon mein lagi rehti hein. Ja kar unko batayein, mohabaat faaslon ki mohtaaj nahi, mohabbat jismon ki mohtaaj nahi, mohabbat science nahi manti, mohabbat logic nahi manti!!! Jigar mangti hai, khoon mangti hai, khairaj mangti hai, aap sei aap ko mangti hai. Dua hai 2024 mein koi kissi ko na khoye, aur sirf paye. Apne dil ki muraadein.
Gunahon ki maafi ya Rab

ā€˜2023 sei 2024 tak’
šŸ¤²šŸ»ā™„ļø | Posted on 31/Dec/2023 21:49:50

Rabia Butt

Check out the latest gallery of Rabia Butt