Gajraj Rao

Gajraj Rao Instagram – Gurgaon main ,Maidaan dekh kar nikle ek parivarik mitr ne phone kiya… unhe film bahut kammal lagi… Devgan saab ,Priyamani aur tamam kalakaron ka kaam bahut bhaya… sabse gazab baat ye batai ki , lift main 8-10 log the , ek 3-4 baras ki bachhi apne mummy aur papa ke sath thi, film dekh kar bachhi bahut utsah main thi, zid kar rahi thi ki bazar se abhi football dilawao…wo football khelna chahti hai … dil ye sunkar balliyan uchalne laga … anurodh hai aap bachchon ko ye film zaroor dikhaein… kya pata inmese kaun ,Chunni Goswami, PK Benarjee,ya Sunil Chhetri ban kar saamne aa jaye kuch barson main… #maidaan @iamitrsharma | Posted on 13/Apr/2024 22:17:20

Gajraj Rao
Gajraj Rao

Check out the latest gallery of Gajraj Rao