Zakir Khan

Zakir Khan Instagram – “Bade funny ho bhai, bachpan se aise hi ho kya?”

Nahi bhai bachpan me toh aur dusre hi log they, jinki baaton par log hass rahe they aur mai sharmindagi me zameen khurach raha tha.

“adhere me deekhta tak nahi”

“tum sawle ho, tumhe haan kar di toh bachche chitkabre paida honge”

Yeh jokes they unn logon ke, kyunki unhone toh hass kar hi kaha tha.

Aur unke sath jo log they, woh bolne wale se bhi zyada zor se hasse. Yeh woh hassi thi jo uss boli hui baat se bhi zyada chubi.

Sab hasse,

sabko ek dum maza hi aa gaya.

bas ek mai nahi hasa.

Inn baaton ka jawab nahi tha tab shayad, aaj bhi nahi hai mere pass. Par iss zillat ne kuch aur karne ke liye bahut uksaya, nayi tarah ki mehnat karne ki majburi paida ki. Inn baaton ka jawab sochne me raatein jaag kar, jo kuch bhi socha-samjha uss sab se itaqam toh poora nahi hua par haan. Duniya ki bahut badi ladai ke liye tayyar zarur kar diya. Jiska natija mera aaj hai.

Unn sab ke bhi aksar msg aa hi jaate hain ab. mai bhi “smile“ wala jawab de diya karta hoon. Aur kya hi kahu, jab jawab dena tha tab jawab nahi tha aur ab uss baat ka jawab dena apne auhde me nahi jamta. Isliye shayad muskura dena hi theek lagta hai. Par yaad mujhe sab hai aur shayad rahega bhi.

Qamiyabi tere liye humne khud ko,
kuch yun taiyar kar liya.
maine har jazbaat bazaar me rakh kar,
ishtehaar kar liya. | Posted on 13/Aug/2024 11:24:39

Zakir Khan
Zakir Khan

Check out the latest gallery of Zakir Khan