Sonya Hussyn Instagram – Apni poori zindagi mein aisa shaks na dekha na paya. 🙏🏼🧿⭐️
Abida Jee ek paikar hain aajizi ka, zindagi ka, bandagi ka. Zindagi mein sirf ek khwahish thi aap se milne ki, aur kya maloom tha khud bulawa aapke ghar se aa jaye ga. 🥹
Bus wo kehty hain na
“Jo hai Tera lab jaye ga, kar k koi bahana “
Aaj Apni chaddar urha k Jo izzat ap ny bakshi hai mai zindagi bhar nahi bhool Sakungi . Mere liye ye chaddar nahi, ye wo rutba hai jis ka zindagi bhar ehteram krna ub laazim hogya ha 🩷
khuda hazaro baras ki zindagi dy or hum sab pe salamat rakhy or ye na khatam hony wala silsila hamesha yunhi bana rahy – Ameen 🤲🏻💕
.
.
#sonyahussyn #abidaparveen #respect #moment | Posted on 02/Feb/2025 13:33:08



