Rachi Sharma Instagram – 23.12.25 🧿🪽🐾
Mera sabse pyaara bachaa God ke paas gaya hai
Thankyou yarr 8 saal tak humein itna pyaar dene ke liye
Kabhi kabhi lagta hai jaise ye sab ek nightmare ho tu yahi hai
Ghar par masti kar raha hoga daud laga raha hoga
Ghar par kisiko pareshan kar raha hoga
Khudko samjhaane ke liye ye tareeka acha hai par shayad nahi hai !Ghar khaali hogya yaar!
Tu bhut strong thaa dekhna bhagwaan tujhe bhut pyaar denge aur heaven mein bhi masti karna
Bas Tujhe dekh nahi paayi ye gum rahega
Par Mummy ne kaha shayad tera humara sath itna hi tha lekin mujhe pata hai tu waapis aaega
Kyuki jab ghar jaungi tou ankhein tujhe dhundegi ki tu ayga aakar royga aur pyaar karega aur jab wapis bombaby aaungi tou mujhe dhundega ki kahan gayi?
I am sorry kabhi koi galti hui ho tou
Par jaldi aana mummy papa bhai daadi daadu sab wait karenge🫂
#omshanti | Posted on 24/Dec/2025 20:01:21
Check out the latest gallery of Rachi Sharma



