Zakir Khan Instagram – Aapke apne log aapke muh par toh yeh aachi aachi baatein bolte nahi. Toh pata hi nahi chalta ki itna pyar bhi karte hai kya?
1: @vishwas1109sharma
15 saal ki dosti, bure din, bahut bure din aur phir aaj ke din bhi. Humne sab sath dekha hai. Baki tathastu toh aapne dekha hi hai.
2: Nadeem bhai!
Jab hum dubara 2010 mein dilli pahuche toh unhone humari bahut madad ki, room dilawana, roz instmal ka saman, yahan tak ki apne ghar ki balti tak humko free me de di. Humesha muskurate milte aur kehne mehnat karo, time toh kabhi bhi badal jaata hai.
3: Parth bhai
Yeh humare bhookh ke sath hai, yeh agar humko khana udhar mein nahi dete toh shayad hum dilli reh nahi paate. 30 rs ke Tiffin ka udhaar bhi 7-8 hazaar ho jaya karta tha. Kabhi narazagi nahi aur na kabhi hissab clear karte ka taana maara.
4: @amitandon17
Kamal ke artist hone ke alaawa insaan bahut aache hain.
Comedy mein sabse pehle inhone hi kaha tha “Aacha kar rahe ho, regular aaya karo”, guru tulya hai mere liye. Ghar ke bade jaise rehte hai, inki sahi salahon ne bahut galat jagahon se bachaya hai. Jiska mai jeevan bhar aabhari rakhunga.
Last I want to thank the @sonytvofficial and #KBC team for putting for much of effort and making this video | Posted on 29/Sep/2023 18:19:07